Album : Noori Bori Wali Sarkar
Language(s) :
Hindi/Urdu-
Qawwali
Singer : Nusrat Fateh Ali Khan
Tags:
#mp3
#lyrics
#qawwali
#urdu
#hindi
Ishq mein souz e ishq se sham e sifat pighal gayi
aap hi jalaayi aag aap hi isme jal gaye
dair tha aage kaaba tha iski mujhe khabar
...
Ishq mein souz e ishq se sham e sifat pighal gayi aap hi jalaayi aag aap hi isme jal gaye dair tha aage kaaba tha iski mujhe khabar nahi yaar jidhar nikal gaya hum bhi udhar nikal gaye dil mein agar tarap na ho aashiq ki aashiqui nahi dard se ho jo bekhabar aadmi aadmi nahi ye dard khareeda nahi jaata hai dirham se ye dard milta hai fakat unke karam se dard se itna nawaazo koi darmaan na rahe dil kisi aur ke sharminda e ehsaan na rahe dil mein aur to kya rakha hai tera dard chchupa rakha hai dard nadir ke dil o daar ko dene waale hum teri zeest ko har waqt dua dete hain rooh mein taazgi nahi dil mein shaguftagi nahi tera bagair zindagi maut hai zindagi nahi dil ko nahi sukoon meri jaan tere bagair aaja pareshan hai zindagai tera bagair haasil e zindagi ho tum bas meri zindagi ho tum tera malaal gham mera tere khushii khusi meri tere bagair jaan e jaan zindagi zindagi nahi meena khamosh jaam khafa maikada udaas sooni padi hai mehfil e rindan tere bagair jab teri baat kaan padti hai tann e bejaan mein jaan padti hai faasla tere dar ka hai itna zindagi darmayaan padti hai tere karam se beniyaaz kaunsi shai mili nahi jholi hi meri tang hai tere yahaan kami nahi ab toh ibaat hi nahi maana ki hosh hi nahi aapko bhool jaun main aisi toh bekhudi nahi ik baar tujhe akl ne chaaha tha bhulaana sau baar junoon ne teri tasveer dikha di tere siwa nahi koi peshe nazar koi toh ho sajda kise karoon bata saamne jab tu hi nahi zakhm pe zakhm kha ke jee apne lahu ke ghoont pee aah na kar labon ko see ishq hai dillagi nahi lakhon haseen ru ba ru aaye magar nigah na ki tere bagair gair ko dekhun to aashiqui nahi