The Journey of Music That Never Ends.

URL copied!
Added to Liked Music
Removed from Liked Music
Added to Favorite Music
Removed from Favorite Music

Album : Shabab Vol.73
Language(s) : Hindi/Urdu- Ghazal
Singer : Nusrat Fateh Ali Khan
Tags: #mp3 #lyrics #qawwali #urdu #hindi

Tanhai mein bhoolne wale ki kyun yaadain aati hain
Dil rota hai khoon ke aansoo aankain ashk bahati hain
Kal jo the pehloo mein mere aaj hain wo beganay se
Dil aur aankain dono mil kar kaisa sog manati hain
-----------------------------------------------------
तन्हाई में भूलने वाले की क्यों यादें आती है 
दिल रोता है खून के आंसू आंखें अश्क बहाती है 
कल जो थे पहलू में मेरे आज हैं वो बेग़ाने से 
दिल और आंखें दोनों मिल कर कैसा सोग मनाती हैं 
-----------------------------------------------------

Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye

किस्मत को मंज़ूर यही था जीती बाज़ी हार गए 
लड़ते रहे हम तूफानों से और वो दरया पार गए 

Is shehr e mehroom e wafa mein jeena bhi kiya jeena hai
Aankhain weeran seena khali jab se wo sarkar gaye

Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye
Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
-----------------------------------------------------
इस शहर के महरूम ए वफ़ा में जीना भी किया जीना है 
आंखें वीरान सीने खली जब से वो सर्कार गए

लड़ते रहे हम तूफानों से और वो दरया पार गए 
किस्मत को मंज़ूर यही था जीती बाज़ी हार गए 
-----------------------------------------------------

Jin ki yaad ko dil mein basaa kar ham ne umar guzari thi
Ab to unn ke naam pe zinda rehne ke asaar gaye

Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye
Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
-----------------------------------------------------
जिन की याद को दिल में बसा कर हम ने उम्र गुज़ारी थी
अब तो उन् के नाम पे ज़िंदा रहने के आसार गए

लड़ते रहे हम तूफानों से और वो दरया पार गए 
किस्मत को मंज़ूर यही था जीती बाज़ी हार गए 
-----------------------------------------------------

Ab to apni mehfil mein kuch taajir hain kuch saudagar
jin par ham ko fakhr tha wo sab dost gaye wo yaar gaye

Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye
Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
-----------------------------------------------------
अब तो अपनी महफ़िल में कुछ ताजिर हैं कुछ सौदागर 
जिन पर हम को फख्र था वो सब दोस्त गए वो यार गए

लड़ते रहे हम तूफानों से और वो दरया पार गए 
किस्मत को मंज़ूर यही था जीती बाज़ी हार गए 
-----------------------------------------------------

Mere dil ke aainay mein jin ka naam numaya tha
Un ke joothay waaday ham ko jeete jee hi maar gaye

Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye
Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
-----------------------------------------------------
मेरे दिल के आईने में जिन का नाम नुमांया था 
उन के जूठे वादे हैम को जीते जी ही मर गए

Un ka dil pathar tha Fareedi pathar ko kiya hota hai
Koi aansoo kaam na aaya sab shikwe bekaar gaye

Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye
Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
-----------------------------------------------------
उन का दिल पत्थर था फरीदी पत्थर को किया होता है 
कोई आंसू काम न आया सब शिकवे बेकार गए

लड़ते रहे हम तूफानों से और वो दरया पार गए 
किस्मत को मंज़ूर यही था जीती बाज़ी हार गए 
-----------------------------------------------------

Mere dil ke aainay mein jin ka naam numaya tha
Un ke joothay waaday ham ko jeete jee hi maar gaye

Larrte rahe ham toofano se aur wo darya paar gaye
Qismat ko manzoor yehi tha jeeti baazi haar gaye
-----------------------------------------------------
मेरे दिल के आईने में जिन का नाम नुमांया था 
उन के जूठे वादे हैम को जीते जी ही मर गए

लड़ते रहे हम तूफानों से और वो दरया पार गए 
किस्मत को मंज़ूर यही था जीती बाज़ी हार गए 
-----------------------------------------------------

Jeeti baazi haar gaye

जीती बाज़ी हार गए 

Comments (0)

no comments