Album : Aansoo Vol.22
Language(s) :
Hindi/Urdu-
Qawwali
Singer : Nusrat Fateh Ali Khan
Tags:
#mp3
#lyrics
#qawwali
#urdu
#hindi
Botal Khuli Hai Raqs Mein Jam-e-Sharab Hai Nusrat Fateh Ali Khan
Raat Hai Maahtaabh Hai Saqi
Sara Mausam Sharab Hai Saqi
Baz Lamhaat Aisse Hote Hain
Jin Mein Peena Sawaab Hai Saqi
Botal Khuli Hai Raqs Mein Jam-e-Sharab Hai
Woh To Khaliq Hai Banda Parwar Hai
Sari Duniya Ka Rab-e-Akbar Hai
Mera Sarmaya-e-Hayat Na Pooch
Ek Saqi Hai, Ek Saagar Hai
Chashm-e-Saqi Se Talab Ker Ke Gulabi Doray
Dil Ke Zakhmoon Ko Kahin Baith Ke See Leta Hoon
Sagar-e-Mae To Bari Cheez Hai, Ek Naimat Hai
Ashq Bi Ankh Mein Bhar Ayein To Pee Leta Hoon
Ae Maikasho Tumhari Dua Kaam Yaab Hai
Aisse Haseen Waqt Mein Peena Sawaab Hai
Saqi Hai, Chandni Hai, Chaman Hai, Shabaab Hai
Taskeen Ke Samaan To Mil Jate Hain
Kuch Sahib-e-Imaan To Mil Jate Hain
Saqi Yeh Dua Hai Tera Iqbal Buland
Maikhane Mein Insan To Mil Jate Hain
Hontoon Se Lagata Hoon To Muskati Hai
Taskeen Har Andaz Se Pauhnchati Hai
Mae Iss Liye Hai Mujh Ko Haseenoon Se Aziz
Asaani Se Sheeshay Mein Uttar Jati Hai
Charagh Dil Ka Jalao Bauht Udaas Hai Raat
Khushi Ka Jashan Manao Bauht Udaas Hai raat
Asar Ghumoon Ka Na Par Jaye Maikashi Pe Meri
Pilao Aur Pilao Bauht Udaas Hai Raat
Meri Nazar Ko Junoon Ka Payaam De Saqi
Meri Hayaat Ko Laafani Shaam De Saqi
Yeh Roz Roz Ka Geena Mujhe Pasand Nahi
Kabi Na Hosh Mein Aaoon Wo Jaam De Saqi
Ek Zara Hosh Mein Aaloon To Koi Baat Karoon
Dil Ki Dharkan Ko Sambhaloon To Koi Baat karoon
Saqiya Baat Bi Karnay Ki Abitaab Nahi
Jaam Hontoon Se Laga Loon To Koi Baat Karoon
Lehra Ke Jhoom, Jhoom Ke La, Muskura Ke La
Phuloon Ke Rass Mein Chaand Ki Kirnain Mila Ke La
Kehte Hain Umar-e-Rafta Kabhi Lauti Nahi
Ja Maikhade Se Meri Jawani Uttha Ke La
Har Ghum Ko Dil Awaiz Kiye Daita Hoon
Ehsaas Ki Lao Taiz Kiye Daita Hon
Tu Zulf Ko Kuch Aur Parishaan Kar De
Mein Jaam Ko Labraiz Kiye Daita Hoon
Mere Saqi, Saqi, Saqi, Mere Saqi
Saqi Hai, Chandni Hai, Chaman Hai, Shabaab Hai
Kiyun Maikhade Mein Shaikh Ji Bante Ho Parsaaf
Nazarein Bata Rahi Hain Ke Niyat Kharab Hai
Jiss Se Kiya Tha Pyar Ussi Ne Diye Hain Ghum
Sach Poochiye To Dil Ka Lagana Kharaab Hai
Pehloon Mein Hai Raqib Tumhare Khuda Ki Shaan
Kanta Bi Hai Wahien Pe Jahan Pe Gulaab Hai
Kehte Hain Jaam Bhar Ke Woh Kaissi Ada Ke Saath
Pee Lo Humare Hath Se Peena Sawaab Hai
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Saagar Hai, Mae Hai, Daur Hai, Abar-e-Bahar Hai
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Ae Zahida Tu Sharab Pee Le, Na Kar Tu Kuch Ijtanab Pee Le
Mein Teri Manoon Namaz Parh Loon, Tu Meri Maan Ab Sharab Pee Le
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Adam Pee Le, Khuda Ko Maan Pee Le, Barhi Kafir Ghata Chaei Huwi Hai
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Mein Ne Mana Sharab Peeta Hoon, Ba Khuda Be Hisaab Peeta Hoon
Log Logoon Ka Khoon Peete Hain, Mein Tu Phir Be Sharab Peeta Hoon
Zindagi Ka Azaab Peeta Hoon, Banke Khana Kharab Peeta Hoon
Roz-e-Mehshar Hisaab Ho Na Sake, Iss Liye Behisaab Peeta Hoon
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Le Ke Saagar Mein Aftaab Peeyein, Yeh Samaj Kar Ke Hai Sawaab Peeyein
Kufar Hai Naimatoon Ka Tukrana, Shaikh Ji Aaiye Sharab Peeyein
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Zahid Mujhe Jannat Ka Talabgar Na Kar, Jo Bass Mein Tere Nahi Woh Iqrar Na Kar
Do Rindiyo Masti Nahi Tera Masliq, Saqi Ke Tabarruk Se Tu Inqaar Na Kar
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Chaak-e-Dil Se Sadqara Ko See Lo, See Lo
Kuch Dair To Baikhudi Mein Jee Lo, Jee Lo
Kiyun Hazrat-e-Zahid Hai Takamul Itna
Hare Maikhade Ki Khairaat Hai Pee Lo, Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Kiss Tarah Ho Gi Bakhshish Tumhari, Josh Aye Ga Kaisse Khuda Ko
Uss Ki Rehmat Pe Kar Ke Bharosa, Kufar Hai Isss Gunah Ka Na Karna
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Ab To Pee Lo, Pee Lo, Ab To Pee Lo
Pee Lo, Humare Hath Se Peena Sawaab Hai
Roodad-e-Hijr Chehray Pe Tehrir Hai Fana
Parh Lijye Khuli Huwi, Dil Ki Kitab Hai
Botal Khuli Hai Raqs Mein Jam-e-Sharab Hai