The Journey of Music That Never Ends.



#qawwali  #lyrics 
Shab-e-Wahda Awwal Woh Ate Nahin Thay | Lyrics | Translation in Hindi | Nusrat Fateh Ali Khan | NusratSahib.Com
485 views, 2 years, 2 months ago
Added to Liked Videos
Removed from Liked Videos
Added to Favorite Videos
Removed from Favorite Videos
1 1 0

Album : Tere Sohne Madine Toon Qurban, Vol. 102
Language(s) : Hindi/Urdu- Qawwali
Singer : Nusrat Fateh Ali Khan
Tags: #mp3  #lyrics  #qawwali  #urdu  #hindi 


Lyrics Translation in Hindi


Tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon

तन्हाई में फरियाद तो कर सकता हूँ 

Veerane ko aabaad to kar sakta hoon

वीराने ...

Tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon

तन्हाई में फरियाद तो कर सकता हूँ 

Veerane ko aabaad to kar sakta hoon

वीराने को आबाद तो कर सकता हूँ

Jab chahoon tumhein mil nahi sakta lekin

जब चाहूं तुम्हें मिल नहीं सकता लेकिन

Jab chaahun tumhein yaad to kar sakta hoon

जब चाहूं तुम्हें याद तो कर सकता हूँ

 

 

Shab-E-Waada awwal to aate nahi the

शब्-इ-वादा अव्वल तो आते नहीं थे

Jo aaye bhi toh raat Aisi Gawaayi

जो आये भी तो रात ऐसी गवायी 

Kabhi Raat ko Tumne gesu sawaare

कभी रात को तुमने गेसू सवारे 

Kabhi Raat ko Tumne Mehndi Lagaayi

कभी रात को तुमने मेहँदी लगाई

 

Bhala Apne Naalon Ki Mujhko Khabar Kya

भला अपने नालों की मुझको खबर क्या 

Shab-E-Gham Hui Thi Kahan Tak Rasaayi

शब्-इ-ग़म हुई थी कहाँ तक रसाई 

Magar Yeh Adhu Ki Zubaani Suna Hai

मगर यह अधु की ज़ुबानी सुना है 

Badi Mushkilon Se Tumhein Neend Aayi

बड़ी मुश्किलों से तुम्हें नींद आयी

 

 

Gila Bewafaayi Kis Se Karein Ham

गिला बे-वफाई किस से करें हम

 

Dil Liya Aur Dil O Jaan Se Muh Pher Liya

दिल लिया और दिल ओ जान से मुँह फेर लिया 

Leke Dil Ek Pareeshan Se Muh Pher Liya

लेके दिल एक परेशान से मुँह फेर लिया

 

Ab, Gila Bewafaayi Kis Se Karein Ham

अब, गिला बे-वफाई किस से करें हम

Hamaara Gila Koi Sunnta Nahi Hai

 

हमारा गिला कोई सुनता नहीं है 

Khuda Tumko Rakhe Jawaani Ke Din Hain

ख़ुदा तुमको रखे जवानी के दिन हैं 

Tumhaara Zamaana Tumhaari Khudaayi

तुम्हारा ज़माना तुम्हारी खुदाई

 

 

Har Ik Ne Diye Mere Shikwon Pe Taane

हर इक ने दिए मेरे शिकवों पे ताने 

Tere Zulm Lekin Kisi Na Pooche

तेरे ज़ुल्म लेकिन किसी न पूछे 

Meri Baat Par Bol Utha Zamaana

मेरी बात पर बोल उठा ज़माना 

Teri Baat Duniya Ne Zubaan Par Na Laayi

तेरी बात दुनिया ने जुबां पर न लायी

 

Sar-E-Shaam Aane Ka Waada Kiya Tha

सर-ए-शाम आने का वादा किया था 

Magar Raat Ab Toh Dhali Jaa Rahi Hai

मगर रात अब तो ढली जा रही है 

Najaane Kahaan Raah Mein Ruk Gaye Woh

न जाने कहाँ राह में रुक गए वोह 

Najaane Kahaan Deri Itni Lagaayi

न जाने कहाँ देरी इतनी लगाई


no comments