Album : Unknown
Language(s) :
Hindi/Urdu-
Qawwali
Singer : Nusrat Fateh Ali Khan
Tags:
#mp3
#lyrics
#qawwali
#hindi
#urdu
Main Ne Poocha Husn Se
Khuda ka noor tujh mein hoo bahoo hai
Khuda pinhaa magar tu roo baroo hai
teri azmat ka andaza ho kis ko
Khuda hai aur Khuda ke baad tu hai
Rab ne farmaya meri qudrat ki had koi nahi
aur mere mehboob ki rehmat ki had koi nahi
jab malak samjhe nahi to aadmi samjhe ga kia
Aamina ke laal ki azmat ki had koi nahi
-Main ne poocha husn se ke dekha hai kahin sarkar sa haseen
Husn ne kaha dilbareen ki qasam nahin nahin nahin
Waliyon se jawab un ka poocha nabiyon mein misaal un ki dhoondhi
Qudsiyon ki anjuman mein main ne azmat e jamal un ki dhoondhi
-Poocha Jibraeel se ke dekha hai kahin aisa Shah e Naazneen
Bola Jibraeel Zaat e Haq ki qasm nahin nahin nahin
Yoon hai kainaat mein Madina jaise ho anghoothi mein naginaa
Uss gali ke zarre wo hain jin se so fishaa hai Aasman ka seena
-Main ne poocha arsh se ke dekhi hai kahin Madinay si zameen
Arsh ne kaha bartari ki qasam nahin nahin nahin
aadmi ko aadmi banaya falsfa hayat ka bataya
doobte safeena e jahan ko saahil e muraad par lagaya
-Main ne poocha Khizar se falak ho ya zameen aesa Haadi hai kahin
Khizar ne kaha rahbari ki qasm nahin nahin nahin
Lab mere Huzoor (saw) ke hain aise Jaise ho laal wo Yemen kai
Surkhi aur taazigi na poocho paani paani hai phool chaman kai
-Main ne poocha phool se o baagh ke makeen dekhe aise lab kahin
Phool ne kaha pankhirri ki qasm nahin nahin nahin
Lamakan kai makeen hain jo ik chattai un ka hai bichonaa
Do jahan ke taajdaar ho kar bhi farsh e khaak par hai sona
-Poocha Fakhr se ke dekha aisa Shah e Deen jo ho boria nasheen
Fakhr ne kaha saadgi ki qasm nahin nahin nahin
Zulfain hain mere Huzoor (saw) ki ya rehmaton ki suramaii ghataain
GaisooOn ke paich keh rahe hain mujrimon ki ham hi hain panahain
-Main ne poocha raat se ke dekhi hai kahin aisi zulf e anmbareen
Raat ne kaha zulf hi ki qasm nahin nahin nahin
Ae khushaan kamal e Mustafaii jalwa gar hai zaat e kibriaaii
Wo dar e Huzoor (saw) hai ae Sajid sajda rez jahan khudaai
-Poocha main ne jab ke tu ne dekha ae jabeen aisa aastaan kahin
Boli yoon jabeen Bandagii ki qasm nahin nahin nahin